Mai chahta hu tumhare husn per ek kitaab likh du,
Teri tareef mai ek kitaab likh du, likh kar saari duniya ko suna du,
Fir us kitaab ko apne pass rakh lu,
jab kiya likhna shuru tu samajh nhi aaya shuruwaat kaha se Karu,
tum tu ho hi la jawab tere baare mai sabse pehle kya mai likhu,
Fir yaad aayi tumhari jheel si gehri aankien un aakhon mai duniya bhar ke sapne,
Fir yaad aayi tumhari zulfen,
Un khuli kuzfon mai tumara Noor sa chehra lagta hai kitna pyaara ye yaad aaya,
fir yaad aaya tumhara Chand sa chehra,
Fir yaad aaye mujhe tumhare lab us lab pe khilti hui si hasi,
Fir yaad aaya hasti hui tum kitni pyaari lagti ho,
Fir maine chaha tumhare husn per ek kitaab likh du,
Uspe tumhara Sara Jamal likh du tumhari haseen aakhon ko sahrab likh du,
Ya na utarne wala Nasha likh du,
Fir likha bht kuch tumhari tareef mai maine fir socha usko apne pass rakh lu,
Chupa lu zamane se kahin tumhe sirf apne pass hi rakh lu ,
Zamana jaha dhoodh bhi na paye kuch is tarah chupa lu tumhe,
Mujhe bas tum aur tumhe bas mai yaad Rahu,
kuch is tarah khud mai basa lu tumhe,
Sabse chupa kar rakh lu tumhe,
Nazar na Lage kisi ki hamari mohabbat per,
Kuch yu sabse door kardu socha fir tumpe ek kitaab likh du,
Us kitaab ko be-misaal likh du.
[…] More: Ek Kitaab Likh Du, Tumhari Pehli Mohabbat Mai Hu, Naiki Ka Sila Lagte […]