Suno mujhe tumse kuch kehna hai,
Thoda nhi aaj bohot kuch kehna hai,
Dil mai hai jo baat barson se dafan,
Aaj un saari baaton ko tumse kehna hai,
Zara dhayan se sunna meri saari baaton ko tum,
Bohot kuch hai jo tumse kehna hai,
Hai unme kuch khaas baatien bhi karne ko,
Tum zara itminaan se meri saari baatien sunna,
Ek shayri ke zariye kuch keh rha hu mai tumse,
Isse zara tum ab dhyan se sunna,
Tum ho bilkul chand jaisi,
Usse dekhu tu tum yaad aati ho,
Aakhien bilkul tumhari hai jheel jaisi,
Usse jab bhi dekhu tumhari yaad aati hai,
Lab hai gulab ke phool jaise tumhare,
Usse jab bhi dekhu tu tumhari yaad aati hai,
Khoobsurati ko tumhari mai kaise batau kaisi hai,
Tum bas gyi ho mujhme ab nikalti hi nhi ,
Dil ki dhadkan badh jati hai jab bhi tum kareeb rehti ho,
Tumhare kadmon ki aahat se ab mai jaan leta hu tum aa rhi ho,
Dil tu ham yuhi haar baithe the,
Usper se tumhara yu chehre se zulfien hatana haaye jaan le leta hai meri,
Tum per ek baar firse mai dil haar baithta hu,
Kya karu mai tum lagti ho itni sundar tumhe bas ab apni maan leta hu,
Kya tum qubool karogi mujhe,
Mujhe tu tum kabse kubool ho,
Mai tu tumhe kubool kar baitha hu apni,
Ab tum bhi mujhe apna maan lo na jana,
Suno aaj keh di hai baat dil ki tumse,
Aaj izhaar e mohabbat kar baitha hu,
Tumhe apna maanta hu kabse ,
Ab firse apna dil haar baitha hu,
Aaj mujhe tum apna maan lo,
Is valientine day ke din mera haath tham lo,
Tum meri ho jao mujhe apna bana lo,
Tum meri jaan ban jao mujhe apni jaan bana lo,
Ab mai tumhare jawab ka muntazir baitha hu,
Saath apne anghoothi laya hu,
Kar lo mujhe qubool ab tum,
Aur de do apna haath mujhe,
Chalo aaj se aagaz karte hai ek nayi zindagi ki ham saath mai,
Kushiyan hi du mai jisme mai tumhe.
No Comment! Be the first one.