wo ab koi aur kirdaar nibhaye ga,
Kisi aur ki kahani ka pehla shaqs ab ban jaye ga,
Jo tha meri zindagi mai sabse keemti mere liye,
Ab wo kisi aur ka ban jayega,
Jo tha bohot pass mere kabhi,
Ab kisi aur se kareeb aur kareeb hota jaye ga,
Jisse khone se mai kabhi darti thi,
Ab wo hi mujhse door aur bohot door ho jaye ga,
Kisi aur ki kahani ka fir wo pehla shaqs ban jaye ga,
Kabhi aata tha jo mere pass apni saari pareshaniyan batane,
Ab wo kisi aur ke pass jaye ga,
Kabhi aata tha jo apne raaz mujhe batane,
Ab wo kisi aur se apne saare raaz bataye ga,
Kabhi kehta tha jo mera hai bas mera hai,
Aur wo us se bhi kahe ga mai tumhara hu bas tumhara hu,
Kya fir usse bhi meri hi tarah chod jaye ga,
Kabhi jo mohabbat ke dawe bas mujhse karta tha,
Ab wo wo dawe usse bhi karega,
Meri hi tarah kya usse bhi dhoke mai hi rakhe ga,
Nikah kar ke tumhare saath apna alag jaha basau ga kehta tha wo mujhse,
Kya usse bhi yahi sab keh kar behlaye ga,
Mai naraz ho jau usse tu gale se laga kar maafi maag liya karta tha,
Kya usse bhi isi tarah paish aayega,
Dhoka jo diya hai usne bas mujhe hi diya hai ya fir meri hi tarah usse bhi de jayega,
Fitrat hi hai uski aisi tu fitrat kaha badalti hai,
Insaan badal jata hai aadatien nhi badalti hai,
Wo sab wahi kar jaye ga usse bhi meri hi tarah akhir mai kya chod jaye ga,
Mohabbat ke dawe sab jhoote dawe the uske kya usne jo kiya hai mere saath uska badla paye ga,
Kya usko bhi ek din apne kiye ka ehsaas hoga,
Kya fir wo bhi meri hi tarah pachtai ga kya wo bhi fir aasu bahaye ga,
Kya wo bhi sach mai is aziyat se guzre ga,
Usne jo kiya hai wo issi hi duniya mai paye ga,
Ye duniya hai saheb makafat e amal naam hai iska jo wo kar rha hai ek din zaroor wo apne samne bhi yahi sab hota hua paye ga,
Fir wo bhi meri hi tarah bohot aasu bahaye ga,
Magar sukoon wo fir kahin na paye ga.
You Might Also Like These:
No Comment! Be the first one.