Zindagi ko tanha aur yuhi viraano mai rehne do,
Ye mohabbat aur wafa ki baatien inhe tum khayalon mai rehne do,
Haqiqat mai azmane se dil toot jaya karte hai,
Ye ishq dosti aur mohabbat ko kitabon mai hi rehne do,
Ye jo fikr karte hai naaz uthate hai,
Ye jo akser mard aurton ko shehzadiyon ki tarah rakhte hai,
Ye sab jo dikhate hai inhe tum dramo mai hi rehne do,
Ye jo kaise bhi ho ham hamme sacchi mohabbat mil hi jati hai,
Ye jo kisi gareeb ladki ke liye mulk ka shehzada aata hai inhe tum kahaniyon mai hi rehne do,
Ye jo mohabbat be panah mohabbat lutate hai log,
Tumhare hazar naaz nakre uthate hai log,
Inhe tum novelon mai hi rehne do,
Kon karta hai itni fikr aaj ki is duniya mai ,
Aree haqiqat mai aa jao in sab ko tum ab rehne do,
Agar haqiqat mai inhe chaho ge tu dard hi uthao ge,
Haqiqat se ye sab bohot door hote hai,
Is liye hi tu inse hamare dil masroor hote hai,
Ye haqiqat mai chahna na tum kabhi bhi isse chaho ge tu dil toot jaye ge,
Inse nikalne mai haqiqat mai aane mai tumhe fir sadiyan lag jaye gi,
Aree nadan ho tum jo ye sab chahte ho,
Jinhone ye banaye hai wo bhi chot khaye hai ye unke khawab the saare ,
Jinhe pero kar ye sab banaye hai,
Aree nadan ho tum ye sab chodo ab haqiqat mai aa jao ,
Haqiqat bhohot door hai inse ko so door hai,
Agar ye sab chaho ge tu khasara hi uthaoge.
Agar ye sab chaho ge tu khasara hi uthaoge.
You Might Also Like These:
tumhari pehli mohabbat mai hu tumhe yaad hai na lyrics
No Comment! Be the first one.