O Mai bhool jau usse yaad karaya na karo,
Jisse mai chod jau uske baare mai mujhe bataya na karo,
Jisko mai mud kar na dekhu,
Usse mujhe dikhaya na karo,
Jis se mujhe nafrat ho gyi ho,
Us per pyaar jatane ko kaha na karo,
Jo mera hai mai us per jaan de dugi,
Usko koi bura kaha na karo,
Jo mera hai usme laakh khamiyan hi sahi,
Per tum bas uski acchai dekha karo,
Suno mai jisse pasand kr lu,
Uski tum burai kabhi mere saamne na kiya karo,
Wo aisa hai wo waisa hai mujhe bataya na karo,
Wo kaisa hai janti hu per, wo bas mera hai aur mai bas uski hu,
teesra koi aa kar samjhaya na kro,
Tum laakh uski burai dikha do,
Mai agar usse dil se chahti hu tu,
Uski ek khobi hi kaafi hai mere liye,
Suno tum beech mai aa kar,
Mujhe behkane ki koushish na kiya karo,
Kabhi jo mai sun leti hu teri baatien,
Wo sirf teri tasalli ke liye,
Ke tujhe lage mai behak gyi hu,
Per jo mera ho jata hai na,
Uske baare mai mai bad zan nhi hoti,
Bas tumhe acche se jaan leti hu,
Aur muskura kar chali jati hu,
Suno meri tarbiyat hui hai,
Aisi ke mai tumhe ulte jawab nhi deti,
Tum bhi fir apni aukaat mai hi raha karo,
Warna gusse mai,
Main sabko unki aukaat dikhane mai dair nhi karti,
Aur jo kaha tha tumne,
Chalo sach kaha hota tu theek tha,
Per dhoke baazon jhooton ko,
Mai uski aukaat mai hi rakhna pasand kati hu ,
Suno mai aisi hi hu,
Logo ko bas jaan leti hu,
Aur khamoosh ho kar sab dekhti rehti hu,
Kon kis had tak gira hua hai bas wo dekhti hu,
Per aukaat dikhane mai,
Aur nazron se girane mai mai dair nhi karti hu,
Read More: Pyaar Jatane Ko Kaha Na Karo, Kitna Dard Dete Hai, Zaroorat Nahi Hai
[…] Read: Aukaat Dikhane Mai, Padhe Likhe Jahilon, Hamara bhi apna mayar hai, Pyaar Jatane Ko Kaha Na Karo, Kitna Dard Dete […]
[…] Read: Aukaat Dikhane Mai, Mujhe Ghanta Farak Nahi, Hamara bhi apna mayar […]