Wo bachpan kitna pyaara tha na,
Sab apni marzi se karte the,
Pyaar bhi sab dil se karte the,
Ham bhi sabko utna hi mana karte the,
Jab koi cheez chahiye ho tu roo dete the,
Fir wo cheez mil bhi jaya karti thi,
Jab dard ho takleef ho chot lage tu aasu aajaya karte the,
Ham bhi fir khul ke roo liya karte the,
Kahin hasi aajai tu khul kar has bhi Liya karte the,
Jo chahiye bas chahiye iske aage kuch nhi sunte the,
Aur fir sab hamme bhi baccha samajh kar chod diya karte the,
Galti ho Jaye koi hamse tu samjha Diya karte the,
Bura bhala koi nhi kehta tha sab hi pyaar jata diya karte the,
Na jaane kyu us waqt sab hi acche lagte the,
Ab jabse bade hue hai,
Samajhdaari yon ke bojh mai dab se gye hai ,
Ab tu roone ke liye bhi tanhai dhoondhni padti hai,
Aur khulkar ab has bhi nhi sakte hai,
Chot lag Jaye tu khud hi sehna hai kisi se kuch keh bhi nhi sakte hai,
Koi cheez chahiye tu ab pehle jaise har cheez le bhi nhi skte hai,
Ab bade ho gye ho samajhdaar bano ye din bhar sunna padta hai,
Kisi ko kuch na bole kisi se kuch na kaho,
Bura lage tu bhi seh jao chup kar ke sab sun jao,
Wo bachpan ab bht yaad aata hai,
Na jaane kabse is samajhdaari ke boojh mai dab gye hai,
Sab kuch sehna na jaane kabse seekh gye hai,
Na jaane kyu itne bade ho gye hai,
Wo bachpan ab bht yaad aata hai,
Us waqt tu dost bhi bin matlab ke hote the,
Ab tu dosti bhi matlab se hoti hai,
Ab tu sab rishte bhi matlab se chalte hai,
Wo bachpan hi kitna sahi tha na,
Na kisi cheez ki fikr na koi daar na koi gam,
Na koi dikkat sab mil Jaya krta tha aasani se,
Ab wo bachpan bht yaad aata hai,
Bachpan bht yaad aata hai.
Read More:
No Comment! Be the first one.