Maine ek hadsa hote dekha hai,
Maine apne baap ke janaze ko apni aakhon se dekha hai,
Maine talkh rawaiyon ko dekha hai,
Maine rishtedaaron ke rawaiyon ko badalte dekha hai,
Maine sabko sab kuch chodte dekha hai,
Maine apne yaaron ko mujhe chodte dekha hai,
Maine logo ko tanha dekha hai,
Maine apne app ko tanha dekha hai,
Maine aakhon se girte aasu dekhe hai,
Maine apni maa ke aakhon mai sailab dekha hai,
Maine bohoton ko samajhdaar hote dekha hai,
Samajhdaar ho kar sab sambhalte dekha hai,
Maine apne bhai ko pura ghar sambhalte dekha hai,
Maine bachpan mai bachpana chinte dekha hai,
Maine apne appko apne bhai bhen ko us daor se guzarte dekha hai,
Maine sab chup kar ke sehte logo ko dekha hai,
Maine apni maa ko sab sehte dekha hai,
Maine logo ko had se aage bhadhte dekha hai,
Apne apne rishtedaaron ko apni takleefon mai haste dekha hai,
Aur kya batau Mai kya kya dekha hai un lamhon mai maine,
Zindagi ko zalim hote dekha hai,
Sab kuch ek lamhe mai khoote dekha hai,
Maine bohoton ko bure halaat se guzarte dekha hai,
Maine apne ghar walon ko sab sehte dekha hai,
Maine itni si zindagi mai kitna kuch dekha hai,
Maine dekha hai koi kisi ka nhi hota yaha,
Sabko khud se matlab hota hai yaha,
Sab apne app mai hi kahin masroof rehte hai,
Maine bohoton ko apni taklefon mai takleef hote nhi dekha hai,
Maine na jaane kitno ko un taklefon ke daor mai kush hote dekha hai,
Maine bohot kuch dekha hai,
Zindagi ko ek had tak zalim dekha hai,
Per unhi takleefon ke doar mai yaha ke logo ko pachana seekha hai,
Kon kiska kitna hota hai ye dekha hai,
Ek pal ko sabse nafrat si ho jati hai,
Per sabko maaf kar ke apni maa ko rishta bachate dekha hai,
Sabko bohot kuch kehte dekha hai,
Maine sab kuch chup chap sehte apne ghar walon ko dekha hai,
Maine na jaane kya kya dekha hai ,
Us ek lamhe mai maine ek had tak zindagi ko zalim dekha hai.
Read More:
No Comment! Be the first one.