Suniye har ladke be-wafa hote nhi hai,
Kuch ba-wafa bhi hote hai,
Pyaar sab shuruwaat mai hi nhi nibhate hai,
Ta umar nibhane ka wada bhi karte hai kuch,
Ek ki mohabbat azma ke appne sabko ek se hi mila diya,
Ham ladke hai janab ham be-wajah hi badnaam hote hai,
Kuch ki wajah se ham sab ke naam kharab hote hai,
Ham yuhi be-wajah fir badnaam hote hai,
Mohabbat nibhani aati hai hamme,
Puri zindagi saath nibhana aata hai hamme,
Kuch ko azma kar app sabko bura nhi keh sakti,
Yakeen maane har koi bura nhi hota,
Har ladka ek jaisa nhi hota,
Har koi kam zarf nhi hota,
Kuch ko aata hai mohabbat jatane pyaar jatane ke salike,
Zindagi bhar saath nibhane ke salike,
Kuch zarf rakhte hai apni mohabbat ko mukammal karne ka bhi,
Laakh haalaat bigad jaye per wo ladte hai apni mohabbat ki khatir,
Fir wo sab sahi bhi kar hi lete hai,
Apni mohabbat ko fir wo mukammal kar hi dete hai,
Apni pasand ko apna bana hi lete hai,
Unse wo shaadi bhi kar hi lete hai,
Wo majbooriyon ka bahana nhi banate hai,
Wo waqt ka faida nhi uthate hai,
Wo rakhte hai apni mohabbat ko bhi bohot naazon ke saath,
Wo fir sach mai wafa nibha hi lete hai,
Ta umar fir wo rishta nibha hi lete hai,
Wo unhe apna fir bana hi lete hai.
You Might Also Like These:
No Comment! Be the first one.