Uztaazon ne mere mujhe kitna kuch sikhaya,
Zamane ki haqiqaton se bhi ru-ba-ru karaya,
Sabse accha mujhe insaan kaise banna hai,
Ye unhone hi tu mujhe bataya,
Maine jab jab sabak hai sunaya,
Chehra kushi se unka bhi chamakta hua paya,
Mai kuch ban jao gi agar aaj,
Tu wo hi hoge mere yaha tak pouchne ki wajah ,
Ustazon ne hi mujhe itna kabil banaya,
Maine ustaazon mai apne maa baap ke aks ko paya,
Unhone bhi mujh per itna pyaar jataya,
Muskhil jo lage mujhe usse aasan kar ke bataya,
Jaha haar jau mai waha uth kar fir ladna kaise hai ye bhi sikhaya,
Mere utaazon ne mujh per na jaane kitni mehnat ki,
Tabhi tu aaj mai is kabil ban paya,
Tareefon mai unki kami kyu chodu mai ,
Unhone jab mujhe itna kuch bataya,
Tareef jitni bhi mai karu unki,
Utni hi kam hai kyuki, maine apne ustaazon ko sabse accha paya
Maine ustaazon mai apne maa baap ke aks ko paya
Related Posts
Dear 12-Year-Old Me
December 17, 2024
Har Ladke Be-Wafa Hote Nhi Hai
November 24, 2024
Kabhi Rooth Jati Ho Tum
November 24, 2024
Tumhara Paisa Nhi Chahiye
September 15, 2024
No Comment! Be the first one.