Har taraf se haar hi gya tha mai,
Har taraf se thak hi gya tha mai,
Ab himmat bhi na baaki thi mujh mai aur ladne ki,
Per ek shaqs ne mujhe bohot samjhaya,
Mujhe ladna h haarna hai fir ladna hai jab tak jeet na jau,
Tab tak ladte rehna hai,
Aur ek din kamiyaab hona hai,
Kuch ban kar dikhana hai,
Kuch ban kar naam unka bhi mujhe roshan karna hai,
Mere ek ustaaz hai jinhone mujhe ye sab samjhaya hai,
Takat himmat hosla ye sab unhi ki dain hai,
Jo aaj mai kamiyaab hua hu ye unhi ka reham o karam hai,
Unka haath mujh per tha har mushkil waqt per,
Mujhe himmat itni unhone hi di thi,
Mai tu haar hi gya tha, haar kar sab chod hi raha tha,
Fir unhone mujhe bohot samjhaya
Samjha samjha kar mujhe is makam tak pouchaya,
Aaj jo mai itna kamiyaab ho gya hu ye unhi ki wajah se hai,
Mere ek ustaaz hai jinhe mai apne walidain ka darja deta hu,
Wo mere liye bohot khaas hai.
Mere ek ustaaz hai
Related Posts
Tumhara Paisa Nhi Chahiye
September 15, 2024
Khayal Jiska Har Pal Rahta hai
August 8, 2024
Dard Tu Wahi Dete Hai
August 6, 2024
Maaf Karna Galti Meri Thi
August 4, 2024
No Comment! Be the first one.