Suno tumne jo kiya aisa kyu kiya,
Suno tumne jo mujhe choda akhir kyu choda,
Suno galti kya thi akhir meri wo tu bata dete tum,
Kya tumhe chahna pyaar karna kusoor tha mera chalo yahi bata dete tum,
Suno maine tu tumse kabhi kuch maga bhi nhi,
tumhare tawajah aur waqt ke alawa,
Suno kya bohot mushkil tha itna bhi tumhara karna,
Suno tum mujhe akhir wajah tu bata dete,
Kya ki hai galti maine ye tu samjha dete,
Suno kya kusoor tha mera chalo yahi bata do mujhe,
Suno tum yuhi chal diye mujhe chod kar kya kusoor tha,
mera tumhe chahna itna bada jurm tha kya mera,
Suno kab kaha kaise kya hua hai mujhse kya khata thi meri ye tu bata dete,
Suno jo tum yuhi chale gye bina bataye kya ye sahi tha,
Wajah batana tumhara kya zaroori nhi tha?
Tum chale gye yuhi bin bataye mera kusoor ye tumne accha nhi kiya,
Suno mohabbat karna itna bada jurm hai kya,
Suno tum be zarf the itne apne dhoke ko pyaar bataya fir mujhe chod diya,
Suno jate jate wajah tu bata dete,
Ek hi sahi per ehsaan tu kar dete,
Mujhe meri khata tu bata dete,
Mujhe meri khata tu bata dete.

No Comment! Be the first one.