Wo jisne mujhe duaon mai maga tha,
Fir mere aane per jo muskurayi thi,
Thode bade hone per fir wo pachtai thi,
Socha usne tha ki rahe ge pyaar se ham,
Aur hoti thi ab ham mai ladai bohot,
Ab kehti hai tumhe maine duaon mai maga tha,
Ab uspe pachta rhi hu,
Socha tha khelu gi tumhare saath pyaar se rahu gi tumhare saath,
Per tum tu ladne lagi hu mujhse jaghadne lagi ho,
Kabhi koi takleef ho mujhe tu wo mujhe samjhaye,
Galtiyon ko meri thoda thoda wo chupaye,
Per akser mujhe daat bhi pad wai choti choti shikayatein kr ke mujhe pitwai,
Aur badi badi baat sabse chupai,
Chot lagne pe pehle hase fir marham lagaye,
Mujhpe fir wo bade hone ka haw jataye,
Hukm chalaye, mai na maanu per na sunu uski koi bhi baat,
Bas apne saare naaz nakre uthwao,
Wo jo mujhe hasaye apne saare raaz bhi bataye,
Fir kaam padne per ham dono ek saath ho jai,
Ha ye rishta hota hi aisa hai ha ye rishta bheno ka hi hota hai,
Wo meri pyaari bhen hai,
Kabhi acchi kabhi buri,
Kabhi fikr krne wali kabhi be fikri se roab jamane wali,
Kabhi mujko khilane wali,
Kabhi mere haathon se khaane wali,
Ha bhen hai wo meri.
You Might Also Like These:
[…] Read More: Apni Kaid Se Aazad Kardo, Sab gawa aaye hai, Wo Meri Pyaari Bhen Hai, […]