Ye jo zindagi hai, Isse badh kar koi saza nhi,
Wo logo ke rawaiye, wo apno ki sazishien,
Wo gair ke bahane, wo yaaron ki makariyan,
ye zindagi kisi saza se kam nhi,
Har din jo aasu nikal aaye,
Har din khayalon mai jo daar jau,
Har pal khawabon mai jo maar jau,
Ye zindagi kisi saza se kam nhi,
Kabhi roo padu, kabhi seh jau,
Kabhi bardasht krte krte chup ho jau,
Kabhi sabko juda krdu khudse,
Ye zindagi kisi saza se kam nhi,
Kabhi koi apna choot jaye,
Kabhi koi rah mai chod jai,
Kabhi koi apna bichad jaye,
Kabhi koi apna dushman ban jaye,
Kabhi naaz ho jinpe unke asli rang khul jaye,
Kabhi yaar jinko samjha tha wo saanp ban jaye,
Ye zindagi kisi saza se kam nhi,
har azmaish mai kabhi gher jau,
Kabhi sab chod ke soo jau,
Kabhi marna chahu,
kabhi jeene ki khawaish hi khatam ho jaye,
Kabhi sabse door jana chahu,
Kabhi khudse bhagna chahu,
Kabhi kahin chupna chahu,
Kabhi mar ke wapis na aana chahu,
Ye zindagi kisi saza se kam nhi.
You Might Also Like This:
No Comment! Be the first one.