Suno Mujhe zindagi se waqai nafrat ho gyi tu kya karo ge,
Yu chup kyu ho bolo na agar door ho gyi mai sabse tu kya karo ge,
Yu chali gyi tumhe chod kar tu kya karo ge,
Yuhi chalte chalte chod diya saath tumhara haath tumhara tu kya karoge,
Agar ye khamoshi hi hai jawab tumhara,
fir yuhi sawal karti rahi mai tu kya karoge,
Agar jawab na milne per chod diya yunhi tumhe tu kya karoge,
Suno mai yuhi roo padugi tu kya karoge tum,
Suno tum jo maag rhi ho jawab apna tu suno zara dhyaan se sunna tum,
Tumhe zindagi se waqai nafrat ho gyi tu zindagi haseen bana kar dikhauga tumhe,
Agar tum door ho gyi sabse yuhi tu khud mai chupa kar rakh lunga mai tumhe,
Yuhi chali gyi mujhe chod kar tu tumhare saath mai bhi chal padu ga,
Haath mai apne tera haath le kar mai bhi nikal paduga,
Chuda na pau tum haath apna itni mazbooti se tham kar rakhuga,
Naraz tumhe mai kabhi hone nhi dunga,
Agar ho gyi naraz fir bhi tum tu mana lunga,
Aasu nikalne na dunga tumhare kabhi agar nikal pade tu mai hi saaf karuga fir tumhari muskurane ki wajah banuga,
Mai tumhe be panah pyaar dunga,
Bhool na pao tum kabhi mujhe aur soch na pao kabhi tum aisa kuch kuch us tarah apna pyaar jatau ga mai tum per.
No Comment! Be the first one.