Wo mujhe kho kar kehta h ke tum yaad aate ho,
Ek bewafa insaan roo kar kehta h ke tum yaad aate ho,
Jisko batate the jab haal-e-dil tu hasta tha,
Ab wahi kehta h ke tum yaad aate ho,
Wahi insaan h wo bhi wahi hu mai bhi,
Pehle wo hasta tha mera haal e dil batane se,
Ab mai door chala gya usse tu kehta h ke tum yaad aate ho,
Ke kitne sitam tune kiye the yaad hai kya tumhe,
Aur kitni baar hi maine bataya tha haal e dil apna yaad h tumhe,
Suno ab jo tum kehte ho yaad aata hu mai,
Koi kaam h jo yaad aa rha hu mai,
Apna kiya hua har sitam yaad kar,
Apne diye hue har zakm yaad kar,
Jo mai door chala gya hu tumse aise hi nhi gya,
Apne dil cheer dene wale alfaaz yaad kar,
Ab kehte ho mai yaad aa rha hu,
Yaar insaan hu mai koi khilona nhi jo door chala jaye tab hi yaad aaye,
Tere diye hue zakhm tu bhula nhi sakta hu mai,
Mai chala gya hu aaunga nhi,
Jao talashon un logo ko jin ko tum waqt diya karte the mujhe chod kar,
Jao raho unke saath jinko tum mujhse zyada mana krte the,
Mai samjh gya hu mai hi bewaqoof tha jo tumhe har baar samjhta tha,
Per ab kush hu kaha tha maine jate jate tumse,
Ke yaad aaunga mai aur tumne has kar kaha tha mazak h kya,
Tere jaane se mujhe farak pade ham itne pass h kya,
Dekho mai sahi tha per ab mai na aauga wapis kabhi,
Zakhm tere diye hue ab bharne shuru hue h,
Unko wapis se taza na kruga,
Maaf karna per ab mai wo galti dubara nhi kruga,
wapis tumhare paas ab kabhi nhi aaunga.
No Comment! Be the first one.