Tumhi batao kya sahi tha is tarah yu chale jana?
Tumhi batao kya sahi tha is tarah se mujhe darana?
Tumhi batao kya sahi tha mujhe rulana?
Tumhi batao kya sahi tha tera mujhpe yu chillana?
Tumhi batao kya sahi tha tera yu anjaan ban jana?
Accha chalo wo sab chodo ab ye batao kya sahi tha?
Tumhara pehle meri zindagi mai aana mujhse pyaar hai ye batana?
Fir is tarah sab khatm kar jaana?
Aur meri kushiyon bhari zindagi ko tabha kr jana?
Tumhi batao kya sahi tha tera mujhse wo sab jhoothe Wade Krna?
Tumhi batao kya sahi tha ek hasti khelti ladki ko rula jaana?
Tumhi batao pehle pyaar hai pyaar h kehte the na tum?
Ab door jao door jao chod jao kehna sahi tha tumhara?
Khair chodo tum kya hi bolo ge sochna zaroor per,
Kya sahi tha tumhara ye sab Krna?
Ye maza hoga tumhare liye? yu logo ki zindagi mai aana,
Aur unko tadpana, unko rulana,
Per ab ba-dua hai meri bhi ek,
Sun hi ke fir tum Jana,
Hoga pyaar tumhe bhi ek din saccha wala,
kaho ge tum bhi ruk jao Jana,
Fir wo kahe gi jao Jana wo tha bas Mera tumhare paise udana,
Fir tum kaho ge mai na reh pauga tumhare bina,
Aur wo kahe gi jao yaha se tum Jana,
Tum bhi ek din aakhon mai aasu liye raho ge,
Samne hogi wo tumhare per kar kuch na pao ge,
Tadap ke reh jao ge fir yaad aayega tumhe apna Kiya hua sab,
fir tum kaho ge ek din ye h makafat e Amal,
Maine na jaane kitno ka dil dukhaya,
Na jaane kitno ko rulaya na jaane kis kis ki bad dua lagi hai,
Na Jane Jane kis kis ne meri barbaadi chahi hai,
Na jaane kiski kiski hai bad-dua abhi baaki,
Na jaane mujhe aage kitne imtehaan dene hai baaki,
Fir tum tadpo ge maafi ki bheek maago ge,
Aaoge ek din tum bhi mere pass maafi maago ge tum mujh se,
Per mai maaf kar du gi aur kahu gi mohabbat thi isliye chod diya,
Khair maine bhi ab tumhe bhula Diya,
Dil hi dil mai kahin dafna diya hai.
No Comment! Be the first one.